Suno us gaon ki kahani ji
Dhara behti thi kabhi aur use aaj pe kehte hai
Dharaji
Nadi hi nahi sanskriti bhi
Aschariya janak dhara behti thi kabhi
Shradhalu hazaro mein aate the kabhi
Kitni kahaniyaan is thehre pani mein dabi
Baandh ke pani se who dhara hui dharashai
Who bhutia amavasya ki raat ……
Kitno ki zindagi mein andhera lai
Ab to who pal sachai se kitni ddor hai
Vikas ke naam par yeh barbadi ka kaisa fitur hai
Dhara duboya, jungle duboya ab kis kehar ki bari hai
Is anyaye ke khilaf aaj bhi ladai zaari hai
Paryavaran ka sanket inko samajh na aaye ji
Hamari Narmada mai pe yeh kaisa anyay ji
Yeh hain is gaon ki kahani Ji
Dhara behti thi kabhi aur use aaj pe kehte hai
DHARAJI”
No comments:
Post a Comment